Dar-e-Fanah Me Naqsh-e-Baqa Chor Jaon Ga Mai Apney Baad Apni Sada Chor Jaon Ga Hain Aur Bhi Chaman Meri Khushbo Ke Muntazir Mai Is Chaman Ko Misley Sabah Chor Jaon Ga Doon Ga Qali Qali Ko Peghaam-e-Shaguftai Gulshan Me Aik Husun-e-Adaa Chor Jaon Ga Ley Jaon Ga Apni Wafa Ko Bhi Apney Saath Aur Unke Liye Yaadein Wafa Chor Jaon Ga Jo Mere Dil Pay Zakham Lagatey Rahey Sadaa Unke Waastey Bhi Duaa Chor Jaon Ga
